Kya tum esey Khuda se khofzada ho?
Kya tum esey Khuda se khofzada ho Jis ne Moosa(AS) se kaha ke Tumhara Rabb tootey huwe dilon mein rehta hai ... Wo hi to hai jis ne Apne Habeeb ko esa banaya ke qayamat tak ke ghuraba, fuqara ki ashk shoii kar rahe hein, To kya usi se door huwe jaa rahe ho jis ne Mohabbat ke jazbey ko Khud takhleeq farmaya hai, Jis ka Habeeb apne ansuon se ghunahgaaron ke kaaley kartoot dhoney pe tul gaya hai. Us se khof kesa jis ne choozey ko bhi samjhaya hai ke ye tumhari maan hai, usi ke peeche jaana hai, kisi aor murghi ka peecha nahi karna to phir insaanon mein qurbaani ke liye tayar waliden ko bhi banaya hai aor Khud sab se zyada pyar ka dawa bhi karta hai :( To agar meri maan itni mushaffaq hai, to Us Parwardigar ke haan kya sukoon hoga, kya husn-e-mohabbat hoga. Aah hamein yahi bata rahe hein ke wo bohat maarey ga .... aaaaah Mere pyarey Allah, kon log hein ye; jinho ne Aap ki hasti ko bhi sakht bata rakha hai..... Ye baat naa maani jaye gi ke Rabb-e-Muhammad kabhi sakht sulook kar sakta hoga. Apni samajh mein nahi aati ye baat. "Moosa, jao firaon se kaho, MERE BANDON PE ZULM KARNA BAND KAR DE" ... To aye Muhammad PBUH Aap Yateem ko jhutlaen ge nahi. Wo jis ka Habeeb PBUH masakeen ko ghar laa laa ke nawason ke kaprrey pehnaa ke Shahzaadey bana de, wo Rabb kese sakht hoga ... Aqal aor shaoor ko koi samajh nahi aa rahi ... Wo jis ne itni Mohabbat se banaya, aor tamam ehtamaam kiye zindagi ke, aor pyar ke sab rastey khud saaf kar diye, Jis ko makkhi ke par ke barabar ansoo ka Qatra kaafi hai maafi dene k liye..... Jis ko akhri saans ka kalma bhi qubool . Wo jis ne yahoodi ke bete ka akhri dam pe kalma bhi maan liya aor koi namaz naa maangi, Wo rubb jis ne har takleef ke daor mein aik Nabi ko fata fat bhej diya ke jao Zulm ko roko ... Jao insan ko takleef naa ho, Wo kese azab de ga. Apne shaoor ko samajh nahi aa rahi. Wo rabb jis ki rahmat intizar mein hai. Wo jo jaan boojh ke kiye huwe gunaah pe maafi dene ko bhi tayaar. Wo jo dozakh ke moonh pe jaane waley ki aik pyaar bhari adaa dekh ke jannat se nawaz de .. Wo jo pyar ka aik uzr sunney ko hama waqt raazi ... Wo jo ansoo zameen pe girne se pehle apne galey se laga lene wala hai. Wo jo khataon se dar janey walon se darguzar karne wala..... Us se naa darao mujhe, us se pyar ki koi baat nikaalo.... koi raasta batao ke us se WAFA ki jaa sakey, naa ke dar dar ke raha jaaye. Koi raah bataii jaye ke sar katwaaney mein khushi ho . Koi raah ho ke us ke ishq mein din ko doobo to raat ko hosh aye aor raat ko madhosh ho to din bhar ki hosh na ho . Ke us ka Yahi haq banta hai ke dil fida ho, jaan fida ho . Chaen o qaraar sab usi pe qurbaan ho.
Lekin !!! Agar baat ho Allah ki makhlooq pe Zulm ki; To Parwardigaar zaalim ko us ke zulm ka mazaa chakhaaye ga. Baat ho us bachey ki jis ne walidaen ko takleef di, to us se sakht hisaab kiya jaye ga. Baat ho Jaanwaron pe zulm ki, Yateemon ka haq khaaney ki. Baat ho logon ke dilon ko torr dene ki. To hisaab hoga karra. Baat ho zaalim hukmaran ki to us ka anjaam bura hi hoga. Baat ho Jhoot bol ke logon ko zaleel karne ki, jhoot bol ke kisi ka ghar tabah kar dene ki, Jhoot bol bol ke doosron ko nuqsaan pohanchaaney ki, to Allah khoob hisaab lene wala hai. Baat ho bachon pe zulm karne kee to Allah masoomon pe zulm ka hisaab le ga.
Hisab hoga Us aorat se jis ne khaya piya hazam kiya aor apne shohar se kaha ke ye to kuch bhi nahi tha, aor lao.

Subscribe to:
Posts (Atom)
Twitter
Facebook
RSS